rafi:
dukh-dard ka hai bazaar ye sansaar
zamaana sach kehata hai-2
milana hai yahaan dushwaar dil ko qaraar
zamaana sach kehata hai-2
lata:
kar gaye who bhi ham se kinaara
jin ko basaaya mann mein
pyaar ki baazi jeet saka hai
koi na is jeevan mein-2
hoti hai yahaan har bar dil ki haar
zamaana sach kehata hai-2
rafi:
kismat ne majboor banaakar
chheen liya sukh ham se
kaaya ki is qaid mein aa kar
koun bachaa hai gham se-2
chalate hai yahaan par vaar, gham ke hazaar
zamaana sach kehata hai-2
---------------------------------------------------------------------------------------------
If you find any error in << Duniya Mein Nahin Koi Yaar >>
please
let us know. Thank You !
LATA MANGESHKAR, RAFI - Duniya Mein Nahin Koi Yaar
lyrics is property of its respective owners.