Stolen Moments

Stolen Moments - PANKAJ UDHAS movie - Na Koi Iljaam Tumko Dunga lyrics

Your rating:
Na koi ilzaam tumako dunga, na tumako badnaam main karunga - 2 

Yakeen maano wahi kahunga, tumhaari aankhon se jo suna hai



Tumhaari aankhen tumhaari hokar lihaaj rakhati nahi tumhaara

Na bolkar bhi ye bolati hai, ye khol deti hai bhed saara

Khaamosh rehkar fasaane kehana tumhaari aankhon ki ye ada hai

Na koi ilzaam tumako dunga, na tumako badnaam main karunga 

Yakeen maano wahi kahunga, tumhaari aankhon se jo suna hai



Tumhaari aankhon ki hai ye khubi, ye khul ke milati hai zindagi se

Inhe hai sach bolane ki aadat, ye jhuth kehati nahi kisi se

Tumhaari aankhen tumhaari dushman, hamaara isame kusur kya hai

Na koi ilzaam tumako dunga, na tumako badnaam main karunga

Yakeen maano wahi kahunga, tumhari aankhon se jo suna hai



Ye jaadugar dil churaane wali, ye phool si naajaneen aankhen

Muzhe diwaana banaane wali ye hiraniyo se haseen aankhen 

Sharaab me wo nasha nahi, tumhaari aankhon me jo nasha hai

Na koi ilzaam tumako dunga, na tumako badnaam main karunga

Yakeen maano wahi kahunga, tumhari aankhon se jo suna hai
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found